Posted in Appetizers/Snacks, Breakfast, Chaupati, Choti Choti Bhook Ka Ilaaz, Ladoo ki Pasand, Rasoi Se !

Matar Pump

Morning post…… karte karte evening ho gayi😜😜😜

Matar Pump

Matar pump

Ingredients:
For 20-22 pieces

For Dough:
Maida- 1/2 kg
Moyan(ghee)- 50 gms (melted)
Salt ti taste

For Matar Stuffing:-
Matar- 200 gm (2.5 katori) (dardara pisa hua)
Aloo- 2 boiled and mashed
Ginger, garlic aur green chilli paste- 2-3 tsps
Masala:-
Salt to taste
Haldi- 1/2 tsp
Dhaniya powder- 1+1/2 tsp
Kitchen king masala- 1 tsp
Tomato ketchup- 2 tsp
Lal mirch- 1/2 tsp

Method

For Dough:
Maida may namak aur ghee mila kar lukewarm water se aata guthey (dough ready kare)na jyada kada na jyada soft aur dhak kar kuch der (15 min) rest karne de

For Matar Stuffing:-


Kadai may oil garam kare usmay ginger garlic paste seke uske baad matar dale thodi der pakaye phir sare masale dal de aur kuch der sek kar aloo aur sauce mila de

Thodi der aur sek lene ke baad utar le aur thanda kar le


Ab matar pump ko shape de aur garam oil may deep fry karle


Procedure wali pic ke liye dimag ki bati baad may jali 😂😂😂 toh jugad 😜😜😜

(Procedure pics lena bhool gayi thi isliye thoda sa dough may aloo ki sabji (not matar ka stuffing) le kar just reference ke liye pictures baad may click ki hai)


Dough ka chota sa portion le (ek loi le)

Ab uski ek lambi roti bel lo

Ab bich may matar ki stuffing rakhe

(Yaha reference ke liye aloo sabji use ki hai par actual may yaha matar ki stuffing aayegi)

Yaha reference ke liye aloo sabji use ki hai par actual may yaha matar ki stuffing aayegi

Ab lamba portion se dono side se cover kare (see images)

Agar chipak nahi raha ho toh pani lagakar chipka do

Ek fork se corners ko halka press karke seal kare

Dono sides se

Like this

Ye step optional hai

Halwai log matar pump ke upar thoda colour spread karte hai taki woh thoda sundar dikhe

Iske liye ek katori may thoda sa red- orange food colour ko thoda sa pani may mix karke ek brush se uske upar spread karna hai

Is stage pe agar aapko store karna ho toh aap kaccha store kar saktey hai

Jaise raat ko bana kar fridge may rakh liye aur next day deep fry kar lo

Deep fry kare medium hot oil may

Ready

Leave a comment