Watermelon/ tarbooj/ matira hum sabko bahut pasand aata hai sath hi sath iske kai faide hai
Hum ise khaa bhi saktey hai aur iska juice bhi banatey hai
Par aaj may iske chilkey ki sabji banana share kar rahi hu
Ye sabji mainey shadi ke baad sikhi 😀😀
Taste- khatta meetha hota hai
Banana bahut easy
Here goes the recipe
Ingredients
Watermelon ka chilka- 2 cup (cut into pieces)
(Sabse outer cover, dark green, recome kar de)
Oil- 1 tsp
Jeera- 1/2 tsp
Salt to taste
Haldi- 1/2 tsp
Dhaniya powder- 1.5 tsp
Lal mirch powder- 1/2 tsp
Amchur- 3/4 tsp
Sugar- 2-3 tsp
Method
Watermelon ke chilkey ka sabse bahari baag ko chilkar nikal de aur phir bareek cut kar le
Ab ise chota chota cut kar le
Cooker may oil garam kare
Ab jeera dale
Ab ismay matira, namak, lal mirch, dhaniya aur haldi dal de
Ab 1- 1.25 glass pani dal de aur cooker band karke kam aanch par 4-5 siti lagaye
Ab ismay chini aur amchur milakar 2-3 ubal de
Bareek kata hara dhaniya mix kare
Garma garam phulka ke sath is khatti meethi sabji ka maza le