Posted in Appetizers/Snacks, Breakfast, Chakhna, Choti Choti Bhook Ka Ilaaz, Diet Special, Rasoi Se !

Chawal ka Dhokla

Chawal ka dhokla

3 tareeke se serve kiya 😀😀😀

Aapko jo pasand ho lelo 😜😜😜

1- Bina chowkha

2- chowkha hua

3- chowkha hua chutney ke sath

😀😀😀

Mujhe toh 2nd wala sabse jyada pasand hai 😋😋😋😋🤗🤗🤗🤗

Here goes the recipe

Chawal Dhokla

Mai dhokle ke liye pehle se aata piswa kar rakhti hu

Dhokla ka aata:-

2 kg – chawal

1/2 kg- chana dal

250 gm- udad dal

Sabko ache se pochkar (sukha kapda se acche se pochnkar) aata piswa kar rakh lijiye

Isse aap dhokle, paan roti aur chawal chilla bana sakte hai

Dhokla

2 cup dhokle ka aata

1 tbsp dahi

Namak

Zara si haldi

1 tsp oil

Method

Raat ko Sabko mila kar pani se ghol le na bhaut gaadha na hi jyada patla

Ab ise dhak kar kisi garam jagah pe rakh de fermentation ke kiye( sardi hai toh aap woollen se bhi cover kar sakte hai)

Next morning

Is batter may 1.5 sachets (1 & 1/4 tsp) eno mix karke aur ise oil se grease kiye hue sanche may dalkar bhapa le

Thanda ho jaye toh pieces cut karle

Ab ise chown kar khaye ya yu hi

Chowk

Oil

Rai/ sarso

Lal mirch pwd (optional)

Curry patta

Hari mirch bareek kati hui ya jaise aapko pasand ho

Method

Oil garam kare aur usmay rai dale

Jab rai tadakney lage tab hari mirch aur curry patta dale aur kuch seconds seke

Ab ismay lal mirch sprinkle kare aur turant dhokla ke pieces dalkar ache se mix kare

Ab aapko agar crispy seeka hua dhokla pasand ho toh ise dheeme aanch par seekney de aur agar aapko soft pasand ho toh bas mix kare aur kuch hi seconds may utar le aur bareek kata hara dhaniya se garnish kare

Note:-

Agar aapko pasand ho toh aap dhokla bhappaney se pehle usmay thodi si bheegi hui chana dal bhi add kar saktey hai

Agar aata nahi piswana ho toh aap 3-4 hours ke liye rice aur dono dal ko bheega kar piss lijiye aur raat bhar fermentation ke liye dahi aur namak, haldi aur oil mix karke rakh dijiye (same process)

Iske liye:-

Rice- 2 cup

Chana dal- 1/2 cup

Udad dal (white)- 1/4 cup

4 thoughts on “Chawal ka Dhokla

Leave a comment